Mind blowing Online Business Idea jo badal denge aapki duniya

Online Business Idea

Hello friends aaj hum Online business ideas ke baare me baat karne wale hai.
Jinme se kuch business to ghar me Rah kar (at home business) bhi kar sakte hai.

Aaj Bahut se log berojgar ghum rahe hai jabki unke paas aachi degree hai.
Aur wo khud ko badlne ke Saath samaj ko bhi badlna chahte hai.lakin unke paas koi business idea nhi hai.
Agar aap bhi apna khud ka business start karna chahte hai aur khud ka boss Banna chahte ho to aapko kuch aise nye aur innovative business idea sochne honge jinse aap paise bhi kama sake or unse logon par positive effects bhi pade.
Jab aap logo ki samsya ka samadhan karne ki disha me apna business start karenge to definitely log use like karenge aur aapko success milegi.
To yaha Kuch online business idea ke baare me jante hai.
Bahut sari online business website hai jaha par hum apna business karke paise kama sakte hai.
Ab hum janenge kuch business ideas ke baare me.

blogging idea,youtuber,carrer,ideas

 

Online business ideas-

1.Educational Blogging-

          Aap internet par blogs jarur padhte honge. aur aapke man me bhi ye vichar aaya hoga ki main bhi blog likhu.lakin aapko puri process pata nhi hone ke karan aap ye nhi kar paate hai.
Lakin blogging karna bahut hi easy hai.aapko thodi jankari Computer,internet ke baare me or thodi knowledge kisi kshetra(Area) ki honi chahiye.jis area me aap blog likhna chahte hai usme aap expert hai.to aap lakho rupaye blogging se kama sakte hai.
Aapko jarurat hai free blog banane ki,Template chunne ki aur us par daily kuch nya likhne ki.blog ko aap Google AdSense se connect karke online paise kama sakte hai.mere according blogging online business ka sabse best tarika hai.

2.Online Teaching:-

        Online teaching bhi Online business ka badya platform hai.lakho log internet par online teaching karwate hai aur saath hi paise bhi kamate hai.
Agar aap kisi subject ya language me specialist hai.aur apna knowledge public ke saath share karke paisa kamana chahte hai To aap apna Youtube chennal create kar sakte hai or videos ko monetize karke apni earning kar sakte hai.
Youtube par aap apni khud ki create ki video hi upload kare.
Aap college students ke tutor ban sakte hai,kisi language ke baare me bata sakte hai,business,health,blogging ke baare me online course start kar sakte hai.

3.E-books likhna-

       E-books aapko aisa platform deti hai jaha aap ek digital book ke jariye dusro ko nyi chize sikha sakte hai.iske jariye aap readers ko bilkul books ki printed copy jesi jaankari dete hai.aur badle me us copy ki price ka kuch hissa unse le sakte hai.aap free me E-books likhna start kar sakte hai aur unhe online big platform par sell kar sakte hai.
Aap un NGO ko apni copies donate bhi kar sakte hai jo aapke subject par trust karte hai.

4. Green App Developer- Website Designs-
     Jo log eco-friendly aur green Ban na chahte hai unhe ye pata nhi hota ki iski suruaat(starting) kaha se kare. To aap unki madad kar sakte hai.aap web aur mobile applications banakar ya dusre se create karwakar users ko bata sakte hai.ki vah Rahne ke liye eco friendly tarike kaise apnaye.
Aap aisi application bhi bana sakte hai.jaha energy conservation,recycling etc. Ke baare me jaankari di jaye.aaps create karke lakho rupaye kama sakte hai.

5.Educational Travel company-
     Aajkal bahut se log ghumne par kafi paise kharch kar rahe hai.or vah jin countries ya cities me jaate hai,unke baare me jaanna chahte hai.aur vaha ke social projects me include hona chahte hai.
Iske liye aap apni online travel company start kar sakte hai.is company ke jariye aap logo ko us country ke baare me jaankari de sakte hai.jaha vah Voltering karenge.aap unhe jarurat ki chizo ke baare me bata sakte hai.

6.Social Crowdfunding-
        Social Crowdfunding ke jariye social entrepreneurs apne projects ke liye funding dhundhte hai.Aap ek social Crowdfunding platform bana sakte hai. Jo human projects aur unhe fund karne ke Desirous logo ko jode.inse aap koi vaada kar sakte hai.jaise-aap Investors ke roop me unhe highlight kar sakte hai ya unhe projects ki lifetime membership de sakte hai.

7.Online fundraising consultant-
       Online business idea me se ye idea bhi best hai.agar aapko finance aur sells ka experience hai,to aap charity ke liye apni khud ki fundraising consultancie khol sakte hai.iske liye aapko aisi charities search karni hogi jo jinke saath aap kaam karna chahte hai,aur apni networking badhani hogi taki is area ke logon se relations strong kar sake.
Iske baad aapko un logo ya charities ko bus ye shabit(Proved) karna hoga ki aap unke campaign ya protest ke liye paise collect kar sakte hai aur effective and best fundraising programs banakar unhe anjaam( The execution) de sakte hai.

➤Aur bahut se online business ideas hai jinme bhi aap apna career bana sakte hai.

To friends ye kuch online business ideas hai,inme se jo aapko best lage wo choose kare aur apna career banakar apne business ko aage badhaye.
Ye post aachi lagi ho to social media par share karna naa bhule.Thanks
                                                 

1 thought on “Mind blowing Online Business Idea jo badal denge aapki duniya”

Leave a Comment

error: Content is protected !!