इन्टरनेट क्या है यह कैसे काम करता है | internet kya hai | Types of Internet | Uses of internet

internet kya hai,Internet ke baare me puri jankari इन्टरनेट क्या है यह कैसे काम करता है

internet kya hai-

Computer network ek communication system hai jo do ya do se adhik computero ko jodta hai,taki ye suchna aur sansadhano ka aadan-pardaan kar sake.
Duniya ka ‘sabse bada Network’ ya ‘Networko ka Network‘ hi internet hai.jis se World ke kiy millions Computer jude hue hai.

Internet ki shuruat 1969 me Amrica me hui.Amrica ne ek project ke liye Rupaye($) diye jis se Advanced Research Project Agency Network (ARPNET) Namak ek National Computer ko Developed kiya gya.Internet ek vishal network hai jo world ke chote-chote anek networko ko ek saath jodta hai.web se pehle internet me keval Text ka upyog hota tha.web ne ab Text,Video,Audio,Graphic,Animation in sabhi ko bhi shamil kiya hai.Internet par Available in sabhi sansadhano ke liye ek multimedia interface pardhan kiya hai in sansadhano ke according Internet & web 21v sadi ke sabse adhik powerful tools ban chukey hai.
Internet se Data sanchar Alag-alag type se kiya ja sakta hai jese- ek se ek,ek se anek,Anek se ek,anek se anek.

Internet & Web-


Internet and web dono similar nhi hai.Internet network hota hai jo different computero ke bech informations ke aadan- prdan ke liye taro,cables,satellite & Rules ko jod kar banaya gya network hai.is type ke network se jude rahne ko ‘Online’ Rahna kahte hai.
Web internet par available sansadhano ke liye ek multimedia Interface hai.Rojana world ke har desh se arbon Users Internet and web ka paryog karte hai.

How the internet works इन्टरनेट कैसे काम करता है –

1.National service provider

Internet control Union ne pratyek desh me kuch internet seva pradayak ISP(Internet Service Provider) niyukt kiye hai.India me ISP ke roop me bharat sanchar nigam limited (BSNL) ko niyukt kiya gya hai.BSNL Different telephone Department and private companyo ko connection deta hai phir aage ye bhi connection dete hai proyokta and unke ISP ke computer telephone line se jude hote hai.
Bussiness roop me sabse adhik upyog kie jaane wale internet provider national aur wireless provider hai.
Proyokta ko internet services lene ke liye do type ke connection milte hai.Dial up
,Lease Line. internet kya hai

2.Wireless service provider-


Wireless modem aur wireless items ke  largest collection ke saath computero par internet  connection pardan karte hai. internet kya hai


Internet ke prakar( Types of Internet)-

1.Local Area Network (LAN)-

LANs ka Area 1 mile se bhi kam hota hai.LAN dur-dur tak College,University aur hospitals dwara microcomputero ko aapas me jodne aur printers jaise other sansadhano ke aadan-prdaan karne ke liye upyog kiye jaate hai.


2.Home Network-


Home network ko log apne gharo aur apartments me general roop me upyog karte  hai.computers ko any type se connect kiya ja sakta hai,jisme electrical wireing ,telephone wireing aur other wire include hai.sabse easy tarika hai wireless internet.


3.Wireless Lan(WLAN)-

wireless local area network ko special roop se wireless LAN(WLAN) ke roop me jana jaata hai.ye Radio frequency ke dwara computers aur items ko jodta hai.sabhi communication network ke center me Wireless Access point ya bass station ke jariye gujarte hai.


4.Private Area- Network(PAN)-

ye network ka nya type hai.jo aapke private environment me ek chote area me kaam karta hai.

5.Metro Area Network- (MAN)-


 MAN’s area ki doori 100 mile tak hoti hai.is network ka upyog sahar ke sabhi area me sthit offices ke beech Link’s ke tor par baar- baar kiya jata hai.

6. Area Network(WANs)-

WANs National aur International network hote hai.ye network 100 mile se adhik area ki doori ke liye access provide karte hai.sabhi WANs ka sabse bada bhag internet hai jo pure world me bna hua hai.

Internet browser-
internet kya hai

internet browser hinditecharea.com


Browser ek application software hai,jiske bina computer me internet nhi chala sakte.ye software dur available other computers se jodte hai.ye files ko open karte hai or Text & Images ko bhi show karta hai.
Internet browser ek website se dusri website par aasani se le jate hai,or surf karne ki suvidha dete hai.browser me web address bahut hi important hai, jisko URL kaha jata hai.
Kuch important web browser-Internet Explorer,Mozilla Firefox,Opera,Safari etc.

advantages of internet of things

Users internet par kya-kya karte hai-

1.Communication-


Internet par bahut bade scale par communication ka paryog kiya jata hai.iske dwara world me kisi bhi sthan par aap apne friends,families se email ke jariye apne favorite subject par baat-chit kar sakte hai.

Communication social media ke jariye bahut jaldi kar sakte hai.kuch social media sites-Facebook,whatsaap,Twitter,YouTube,Instagram. Internet speed ki isme koi problem nahi ho pati hai.

2.Shopping- 



Internet par bahut si yesi website hai jis par hum product search karke kam paiso me khrid sakte hai.

3.News-

Internet par quickly latest updated news dekh sakte hai,phir wo apne town ki ho ya national aur international.

4.Entertainment-

Internet Entertainment ka sabse bada sadhan hai,internet par aap music,movies,patrika,mobile aur pc application and games.yaha aap live games khel sakte hai.patrika padh sakte hai aur live videos dekh sakte hai.internet par din-partidin entertainment ka craze Bad raha hai.

5.Education & Learning-

Internet par sabse jyada istemaal hone wali web application hai.yaha par sabhi subject ki study kar sakte hai.Internet par kuch yese bhi course hote hai jo keval entertainment ke liye hote hai. internet kya hai

Leave a Comment

error: Content is protected !!